Nazakat se bhari aakho se tum hummein , yuh to na maaro,
Jara ruk-ruk ke hasi toh, jara phir hosh shambhalo.
Ye jamana tujhe chalne nahi daiga tere raste,
Ye khayalat mein khudko jara girne se bachalo.
Meri nazaro ne ki tere chaman-ae-daam ki baatein,
Teri vo marmari baheein, vo teri chand si aakhe,
Tere hatoh pe base, janateh-mehkhane ki bateein,
Mein hakikat mein diwana tera mujhe tum apna banalo,
ao ab toh apna banalo.
Mohobbat ek nahi soh baar ki uus allaa talam se,
Tujhe main jeet hi lunga meri khusiyaa mere gham se,
Yeh jamana tujhe phir har khusi daiga mere dam se,
Yakeen kar ke sachhe maan se meri tum maang sajalo,
ao ab toh maang sajalo.
Comments
Post a Comment