Skip to main content

Kab Tak Khudko Fhasi Dougeh


Bas Ab Bahut Hua

Kab Tak Khudko Fhasi Dougeh,
Kya Paya Hai, Kya Khoaogeh,
Dil Hi Dil Me Haar Rahe Ho,
       Bas Ab Bahut Hua.

Munkin Si Ek Chiz Nahi Hai,
Namunkin Si Har Chiz Padi Hai,
Kitna Khudko Dhoka Dougeh,
       Bas Ab Bahut Hua.

Dekho Toh Jina Hai Muskil,
Soch-Cho Toh Anjaan Hai Manjil,
Kis Mangil Ko Yaar Chunohgeh,
       Bas Ab Bahut Hua.

Chaho Lekin Sach Mein Jinaa,
Hogi Khusiyaa Khatam Khabhi Na,
Kab Tak Sach Se Muh Modohgeh,
       Bas Ab Bahut Hua.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.