Skip to main content

Khuch toh dil ko khona houga


Khuch toh dil ko khona houga paane ki hai thani to,
lena-dena beej dharam ka, laani hai haryali to.

Dena kay hai maan pe tere, thouda do ya jayada dou,
Lena kay hai vakt pe choudoh, paani hai khushhali to.

Aakhir kay hai tera jag mein tera, dhar, jamin ya paani hai,
Aaakhe kholoh maan ko tatouloh, laani hai divali to.

Sach ko sachai se jaano etrane se houga kya,
Maan se main [me mere ] ka bhandhan choudoh, paani hai khushaali to.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.