Skip to main content

Kaise kare yeh tay ke

Duvidhaa: Where 'I Domain' starts and ends


Kaise kare yeh tay ke bhalaa mera haq hai kya?
Meri agar hai raah sabhi, toh raastoh ka kya?

Apna dharam nibhane ki kasam kha toh li magar,
Gar dostoh se pyar karu toh dusmanoh ka kya?

Comments

Popular posts from this blog

Main zakhm bharane baitha hu

Main zakhm bharane baitha hu, Tum dard badhana chod bhi do. Gham kitne jamane ke pee gaye, Tum aur rulaana chod bhi do. Sine se lagaye hu tumko, Yaadon mein bahana chod bhi do. Kismet ne kabhi baksha hi nahi, Ab aas lagana chod bhi do. Koshish karna hum bhool gaye, Nazaroh se rijhaana chod bhi do. Main rang lagane tatpar hu, Deewaar girana chod bhi do. Har cheez toh chodi hai humne, Ek naam tumhara chod bhi do.