Skip to main content

Tune haste hue paagal karaar kar diya mujko


Tune haste hue paagal karaar kar diya mujko,
mere barso ke intezaar ka kya phal diya mujko.

Mein tere husn ko chahata raha par dilrubaa tune,
badi tehzeeb se dil ka bimaar kar diya mujko.

Tujhe himmat dilaane ko bhalaa mein teer laya tha,
Mere hi teer se sang-dil halaal kar diya mujko.

Javaab saare hi mujse yu chinkar tune,
Ek uljha hua bebas savaal kar diya mujko.

Comments

Popular posts from this blog

Main zakhm bharane baitha hu

Main zakhm bharane baitha hu, Tum dard badhana chod bhi do. Gham kitne jamane ke pee gaye, Tum aur rulaana chod bhi do. Sine se lagaye hu tumko, Yaadon mein bahana chod bhi do. Kismet ne kabhi baksha hi nahi, Ab aas lagana chod bhi do. Koshish karna hum bhool gaye, Nazaroh se rijhaana chod bhi do. Main rang lagane tatpar hu, Deewaar girana chod bhi do. Har cheez toh chodi hai humne, Ek naam tumhara chod bhi do.