Skip to main content

Yeh sochtaa hu main


Yeh sochtaa hu main, ke,
Phir kyuu.. sochne baitha?
Hazaar kaam hai aakhir,
Unhe kartaaa kyu nahi?

Hai kaisii yeh nazarr,
Joh sach ko dhundh laiti hai,
Bhalaa meri nazar auroh-si,
Lapataa kyu nahi?

Main dekhne mein,
Hubahuu-hi unke jaisaa hu,
Mere naseeb mein auroh-sa,
Silsilaa kyu nahi?

Javaab na mile toh kya,
Bas ek hi uljhan hai,
Na dusaroh sa ji.. saka
Toh phir martaa kyu nahi?

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.