Skip to main content

Khuch saal pehle ki baat hai


Khuch saal pehle ki baat hai,
sapno mein jeeta tha main bhi kabhi

koi hasaye toh hastaa tha main,
bachcho sa routaa tha main bhi kabhi

ab hosh ne hai sambhalaa magar,
madhhosh rehtaa tha main bhi kabhi

jeevan kahani samajta tha main
apna vidhataa tha main bhi kabhi

koi nisaani mere naam ki,
dil se banataa tha main bhi kabhi

Comments

Popular posts from this blog

Main zakhm bharane baitha hu

Main zakhm bharane baitha hu, Tum dard badhana chod bhi do. Gham kitne jamane ke pee gaye, Tum aur rulaana chod bhi do. Sine se lagaye hu tumko, Yaadon mein bahana chod bhi do. Kismet ne kabhi baksha hi nahi, Ab aas lagana chod bhi do. Koshish karna hum bhool gaye, Nazaroh se rijhaana chod bhi do. Main rang lagane tatpar hu, Deewaar girana chod bhi do. Har cheez toh chodi hai humne, Ek naam tumhara chod bhi do.