Skip to main content

Kora khaghaz, aadhi baatein,

Kora khaghaz, aadhi baatein,
Thode khawaab, tuti Kalam.

Kya likhe aur Kya kahange
Sach hai Kya Kya hai bharam.

Dil diwana dhoondhta hai, har Nazar mein aashiqui,
Kya kahe kaise samjhaye, darr hai Kya Kya hai sharam.

Comments

Popular posts from this blog

Main zakhm bharane baitha hu

Main zakhm bharane baitha hu, Tum dard badhana chod bhi do. Gham kitne jamane ke pee gaye, Tum aur rulaana chod bhi do. Sine se lagaye hu tumko, Yaadon mein bahana chod bhi do. Kismet ne kabhi baksha hi nahi, Ab aas lagana chod bhi do. Koshish karna hum bhool gaye, Nazaroh se rijhaana chod bhi do. Main rang lagane tatpar hu, Deewaar girana chod bhi do. Har cheez toh chodi hai humne, Ek naam tumhara chod bhi do.