Skip to main content

Yeh Raatein,Yeh mausam


Appreciating Natures Beauty

Yeh Raatein,Yeh mausam,
Yeh khusiyo se bheega nazara,
Yeh phooloh ke jaise,
Mehekti meri aarzu.

Mera dil, meri jaan,
Mere saath mein jee uthe hai,
Meri har ragho mein,
Dhadakne laga hai lahu.

Yeh chanda, yeh taare,
Yeh hasta nadi ka kinara,
Hai dulhan ke jaise,
Saja hai sama kya kahu.

Hawaae yeh mujko,
Ajab si dua de rahi hai,
Lage hai ke jaise yeh,
Dharti ko ja aoudh lu.

Mujhe pyar karne ko,
kudrat mara ja raha hai,
mein uski muhabbat ko,
chahu toh kya naam du.
chuke kya anjaam du.

Mujhe chain daine yeh sab,
ek rang mein range hai,
Mein roukar mere aasuvoh se
unhe pyar du.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.