Skip to main content

Kidhar se kaise sahi ko


Kidhar se kaise sahi ko,
Aapne ghar lau,(1)

Mein apne-aap ko,
Ab aur kitna tadpau,

Es chamkti hui duniya,
Ki chamak joothi hai ,

Ek khona bhi nahi jidhar,
jakar chup jau,

Gham ke saye se bhi darta tha,
  Par ab to aadat hi bani,

Jina hi gham ki vahjay,
Hai toh chalo mar hi jau,
      
Par marna toh yaha,
Buzdili kehlata hai,
              
Apni himmat ka diya,
Kisko kaise dikh lau.(1)

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.