Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2004

Mere khilaf uthti aakh

MUJHE KAISE BACHAOOGE Mere khilaf uthti aakh, Agar gin-ne jaoogeh, Toh apni laas ke jalne tak, Uuse gin na paooge. Mere khilaf uttahte hath, Agar kaat laoogeh, Toh khoon etana bahega ki, Ke usmein dhoob jaooge. Mere khilaf har jaban ko, Baand karna cha-hooge, Toh shor etana mache-gaa ki, Phir khuch sun na paoogeh.

Mere malik, mera yaar, palat-taa kyu hai

Mere malik, mera yaar, palat-taa kyu hai,            Hai agar pyaar toh, ez-haar se darta kyu hai, Kitne armaan hai, dil mein mere us ke liye,            Aur ek hai voh, jo sirf khab mein, milta kyu hai. Uski aakho mein chipa, dard mujhe, pyaar dikhe,            Phir es dard ko voh mujhse, chipata kyu hai, Meri har baat mein teri kasam safai thi,            Phir  meri baat ko sunteh hi, bigadta kyu hai, Uske aasu gire, toh dil mera, jal jata hai,              Mere aksho ko voh ek dhong samajata kyu hai,

Jaha jaoogeh, khusi laoogeh

Jaha jaoogeh, khusi laoogeh, Tum bigadati mehfil ko, fir sajaoogeh, Koi sikva na ho, na ho koi gile, Tum dilo ko, sahilo se, yu milaoogeh, Koi daar na rahe, na ho koi bahram, Aesa koi rang, maan ko, tum lagaoogeh, Rota koi na ho, na ho koi udaas, Dhun hasi ki, har kahi tum, yu bajaoogeh.

Bade afsosh ki hai baat

Bade afsosh ki hai baat, mein sach kehta hu, Koi aaye, ya na aaye, mein toh je leta hu, Pehle nazaro ko lagi rehti thi kisi ki talash, Ab akele hi mein, mehfil ko saja deta hu, Pehle tan-hai se dil daar ke rone lagta tha, Ab lage daar toh ghame-dil ko hasa de-ta hu, Koi muskil nahi hai jab talak hai saath khuda, Koi uljan sataye toh bhula deta hu.

Koi aaye, ya na aaye, fikar hi nahi

Koi aaye, ya na aaye, fikar hi nahi         Kab hase the ham voh kholkar, khabar hi nahi Vakt aaye koi khusiya ya jindigi lekar,         Ghame dil par, koi baat ka asar hi nahi Napasand mangilo ke raste arabo hai pade ,         Meri mangil ke taraf jata vo rasta hi nahi. Koi gunha, na koi dhosh hai, mari halat me tera,         Mere hatoh me sirf jaan, hai kismat hi nahi. Koi saathi hai toh, bas ak voh tanhai hai,         Mere jivan me kisi aur ka hisaa hi nahi.

Yaaro dua karo ke phir

Yaaro dua karo ke phir aaye na koi aaj,      Ab main kis-si se mil saku aise nahi mijaj. Haatho pe jamm nn koi,nn koi humnawaj,      Tannhaieyo ke saath hu nn kar hame naaraj. Pahle haseen khaab the pahene kae livaz,      Par jabse sach hai rubaru nikali nahi aavaaz. Koi jaraa bhi gham nahi jaisa bhi mera aaj,      Paae hai maan ne har khusi khonepe "mein" ka taj.