Skip to main content

Koi aaye, ya na aaye, fikar hi nahi


Koi aaye, ya na aaye, fikar hi nahi
        Kab hase the ham voh kholkar, khabar hi nahi
Vakt aaye koi khusiya ya jindigi lekar,
        Ghame dil par, koi baat ka asar hi nahi
Napasand mangilo ke raste arabo hai pade ,
        Meri mangil ke taraf jata vo rasta hi nahi.
Koi gunha, na koi dhosh hai, mari halat me tera,
        Mere hatoh me sirf jaan, hai kismat hi nahi.
Koi saathi hai toh, bas ak voh tanhai hai,
        Mere jivan me kisi aur ka hisaa hi nahi.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.