Skip to main content

Mere malik, mera yaar, palat-taa kyu hai


Mere malik, mera yaar, palat-taa kyu hai,
           Hai agar pyaar toh, ez-haar se darta kyu hai,
Kitne armaan hai, dil mein mere us ke liye,
           Aur ek hai voh, jo sirf khab mein, milta kyu hai.
Uski aakho mein chipa, dard mujhe, pyaar dikhe,
           Phir es dard ko voh mujhse, chipata kyu hai,
Meri har baat mein teri kasam safai thi,
           Phir  meri baat ko sunteh hi, bigadta kyu hai,
Uske aasu gire, toh dil mera, jal jata hai,
             Mere aksho ko voh ek dhong samajata kyu hai,

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.