Skip to main content

Yaaro dua karo ke phir


Yaaro dua karo ke phir aaye na koi aaj,
     Ab main kis-si se mil saku aise nahi mijaj.

Haatho pe jamm nn koi,nn koi humnawaj,
     Tannhaieyo ke saath hu nn kar hame naaraj.

Pahle haseen khaab the pahene kae livaz,
     Par jabse sach hai rubaru nikali nahi aavaaz.

Koi jaraa bhi gham nahi jaisa bhi mera aaj,
     Paae hai maan ne har khusi khonepe "mein" ka taj.

Comments

Popular posts from this blog

Main zakhm bharane baitha hu

Main zakhm bharane baitha hu, Tum dard badhana chod bhi do. Gham kitne jamane ke pee gaye, Tum aur rulaana chod bhi do. Sine se lagaye hu tumko, Yaadon mein bahana chod bhi do. Kismet ne kabhi baksha hi nahi, Ab aas lagana chod bhi do. Koshish karna hum bhool gaye, Nazaroh se rijhaana chod bhi do. Main rang lagane tatpar hu, Deewaar girana chod bhi do. Har cheez toh chodi hai humne, Ek naam tumhara chod bhi do.