Skip to main content

Nazar se mujko parkhoge


Beyond Duality


Nazar se mujko parkhoge,
toh pal mein bhool jaaoge,

Par haa! jab mann se parkhoge,
toh kudmein mujko paaoge,

Agar mann ke parakhne se bhi,
undaa chiz hai tum mein,
toh jitnaa mujko parkhoge,
tum utnaa khudko chahoge.

Ab pucho aisa kyu? voh esliye ke,

Khuda ka kaam aisa hai,
Farak bas naam hi ka hai,
yeh anubhav hone ke baad, [after this realization]
Na 'Main' main hu, na 'Tu' tu hai,
Kisi main, tum ginaaooge.

English Translation:

Its meaning is so deep that words almost cannot describe but
still just for the sake of hint to its readers:

When there is 'I' [observer] then there is bound to be you [object]
but when one goes beyond this so called illusive 'I' then there is no
 'I' any more, so thus there is no you either, thus everything is just one,
where everything points to whole of our universe and beyond.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.