Skip to main content

Nayee hai aa-khe, nayee jawaani


Re-Born

Nayee hai aa-khe, nayee jawaani,
Naya sa dil mein gubaar kya hai?

Yeh route-route main has pada kyu?
Chupa jo dil mein yeh raaz kya hai?

Jhulass rahi viraan jindagi mein,
Yeh unsunee si pukaar kya hai?

Javaab  saare hi mil gaye toh,
The kal joh mere woh savaal kya hai?

Naye samay mein naya janam hai,
Yeh khudkhusi ki misaal kya hai?

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.