Skip to main content

Shabdoh ko sajataa hu


Main Kya Karta Hu?

Shabdoh ko sajataa hu,
Likhta hu phir gaata hu.

Apne biite lamhoh par,
Routaa hu, Hasataa hu.

Kiska haath kaha par kitnaa,
Tukdoh mein darshaata hu.

Sachchai apna sach bole,
Aise haath lagataa hu.

Kya karta hu? Kyu karta hu?
Kisko raaz batataa hu?
Khud apna hi prerak hu main,
Khud ko thosh banaata hu.

Apne hunarr ki, anokhi kalam se,
Jadoo saa kar jataa hu.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.