Mankind in its Real Form Insaaniyat ka falsabaa, Insaan hi toh hai. Haivaniyat ki kok joh, Insaan hi toh hai. kudrat bhala kyu chiik-taa, Pooja joh uski ki, tohmat usse jisne bhi di, Insaan hi toh hai. Sansaar ko savaarta, raahat mein lekin phir, Thak haar ke bigaadta , Insaan hi toh hai. Ek chout bhi lagni jise, Munkin nahi magar, Khud hi savayam ko chirrta, Insaan hi toh hai. Kudrat esse maafi bhi de, Yeh le bhi le toh kyu , Maafi Jise zillat lage, Insaan hi toh hai. Ag-Gyann mein Gyaani bane, Hai dekhta khudko, Har Jeet mein joh haar-rata, Insaan hi toh hai. Apne karam ka phal kabhi kadava lage toh phir Bhagvaan ko bhi de saza, Insaan hi toh hai. Mandir mein thouda daan, Kar shukh maangta haq se, Apna dharam khud bechta, Insaan hi toh hai. Har phool ki maasumiyat, ko das liya jisne, Woh Besharam woh Behaya, Insaan hi toh hai. English Translation: An overy of devils is Human being indeed, and flourisher of humanity is Human being in...