Skip to main content

Yeh khubsuratee bhi kya kamaal karti hai


Beauty

Yeh Khubsuratee bhi kya kamaal karti hai,
saral si chiz ko yu bemisaal karti hai.

Nazar se moh ke jigar ko qaid mein rakhkar
yeh apne aashiko ka yu shikhar karti hai

Javaab de bhi de toh koi kaise kya daiga
Yeh lajavaab sa har ek savvaal karti hai.

Sabhise thoudi thoudi bhoound-bhoound le-lekar
Kisiko madh bhari jil-mil Phuvaar karti hai

English Translation:

This Beauty is so amazing by the way its play
It turns so simple thing into a wonderful gem.

It starts by attracting through eyes and slowly
slowly capture the heart from there on and in
this way it hunts its lovers and appreaciators.

How will somebody will be able to give an answers
to her questions because she ask such questions
which have no answers at all.

It grabs small amount of beauty bit by bit from
everybody and then blessed that special some body
and make her so attractive and lovable among all.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.