Skip to main content

Khuch Roz se Dil ne Hummein


Khuch Roz se Dil ne Hummein bimaar bana rakhkha hai
Mehboob ke didaar ko ghar baar bana rakhkha hai.

Dil jo meri ek baat pe yu de-r tak barasta tha,
Ek bhoond ko muddat lage lachaar bana rakhkha hai

Dil kal mere har raaste ki manjiloh ka noor tha
Pairo tale har raasta bekaar bana rakhkha hai.

Us aur se chahat abhi es aur tak aayi nahi,
Dil ne magar us shaskhs ko dildaar bana rakhakha hai


English Translation:

From last few days this heart have made me helpless,
Remembering/meeting with her is the only work he do.

This heart which on my one wish helped me like anything,
suddenly this days he just didnt listen to me and have
become useless

This heart was my dearest friend and we use to go on many
places one after another, but this days every where I go
I reach nowhere.

She have not yet accepted my love until now but still he
has asssumed by default 'YES'as her answer and made her
his queen, his beating, his soul.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.