Skip to main content

Yeh dil na-samjii mein


War between Dhamma and Desires

Yeh (dil) na-samjii mein jaane kaisi kaisi baat karta hai,
Na jaane kaunsi chizoh pe kya-kar kitna marta hai.

Esse har pal rulaane rang-bi-rangi aas aati hai,
Na chahe phirbhi roune ko nayi yeh aas karta hai,
Yeh na-samjii mein jaane kaisi kaisi baat karta hai.

Dharam ka naam lekar aas se ladhkar abhi khush hai,
Magar phir ladte ladte jeetne ki aas karta hai,
Yeh na-samjii mein jaane kaisi kaisi baat karta hai.

English Translation:

This heart in its ignorance deisres so wierdly,
It dies on different things, at different levels
by doing so many different things.

Desire comes near by the heart to hurt him and cause
him pain, the heart replys back by desiring more,
unnoticingly.

The heart uses Dhamma to fightback and feels relief
for a while but then suddenly unnoticingly inbetween
it again start to desire to win the battle ans so looses.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.