Mera aks chal raha tha, Main jaane tab kaha tha. Mere aasuoh ka girna, Mera zakhm bhar raha tha. Mere haath se joh chuuta, Mere haath mein kaha tha. Tu joh chahe tu bhi has le, Yeh jamana has raha tha. Mujhe ghamdili hai kabse, Mera gham bhula kaha tha. Mujhe kab kami thi kiski, Mere sar mera khuda tha. Mere sar kalank hai jhutha, Mera sach mera gawaah tha. Sabhi jeet mein lage hai, Mera haarna gunaah tha. Mera ban gaya hai dusman, Maine dost joh chuna tha. Roya toh ghazal likhkhi, likhkar bhi ro raha tha. Mujhe wah de rahe hai, Maine 'aah' joh likha tha. Himmat badhha rahe the, Marne joh ja raha tha. Mujhe maarne mein kya hai, Main toh ji raha kaha tha. Marne pe mere khush hu, Marna mera dua tha. Loh chitah pe pada mein hu, maatam bhi jashn sa tha. Meri kabr par toh aaya, varna toh vakt kaha tha. Usse baajuvoh mein lelu, Meri raakh chu raha tha. Mujhe yaadjuuuroor karna, Mera dam bhatak raha tha. Aakhir mein voh bhi roya,...
A collection of blogs, poetry, sketches, and insights