Skip to main content

Dil Be-basi se aaj phir


Dil Be-basi se aaj phir,
Milne Chala toh kya,
Unko hamare dard pe-jab,
koi gila nahi.

Aasu se ghazal likhta gaya,
ghalib yeh Jaan kar,
Askoh ke qaid laakh magar,
Koi Rihaah nahi.

Hum bekhudi mein dhub gaye,
duniya se ruth kar,
humpe asar na chod saki,
Koi dua nahi.

Karta ellaaj main bhi agar,
aur-ro sa sochhta,
Jalta magar hai de-ir talak,
Koi diya nahi.

Gandhi ko pujata raha,
shukh dhukh sametkar,
paaye hazaar zakhmm mili,
Koi dava nahi.

English Translation:

So what if the heart is dying to
Meet her impatienely today,
As she have no clue,not at all
About the pain this heart is in.

Ghalib kept on writing poetrys
with his tears,much believing that,
There are endless reasons to make ,
One cry,but no freedom from crying.

I get lost in deep self-pity from
this insane world because there is
no single prayer or wish that have
came true or helped me up until now.

I would have lived as others if
I would be thinking as them,But
I didnt lie to myself because no
candle do burn forever.

I willingly walked on the way of
gandhi whenever I was happy or sad
As a result I found wound everywhere
I go, but no curable medicines.

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.