Skip to main content

Kar alvida kar alvida


Kar alvida kar alvida.

Hai vakt jaane ka abhi,
Kar alvida kar alvida.

Arpan tu kar apna sabhi,
Kar alvida kar alvida.

Saalo talak Andh-kaar mein
Main mein jiya, Mein kar jiya,
Anteem samay tera abhi,
Kar alvida kar alvida.

Muh modta bhagvaan kyu,
pal pal dikhe haivaan kyu,
Karni pe kya rouna abhi,
Kar alvida kar alvida.

Ag-gyan ko jad se hila,
Sachchai se kadhdha mila,
Tu hai nahi haara abhi,
Kar alvida kar alvida.

Jeevan-Maran ek rit hai,
Anteem samay amrit hai,
Bas dhyan kar gehra abhi,
Kar alvida kar alvida.

Addhyan kar gehra abhi
Kar alvida kar alvida.

English Translation:

Its time to leave this body and die
and so say goodbye, say goodbye.

Donate everything wholeheartly and
boldly say goodbye, say goodbye.

For all this years you loved to lived
in darkness, shouting and banging your
chest as ME, I and MY,Well now its time
to breathe in your last breath,
and so say goodbye, say goodbye.

No reason to guess why heaven is getting
far and hell is approcahing nearer and
nearer,Its not viable and thus worth to
cry now on your deeds and so,
say goodbye, say goodbye.

Uproot or atleast try to uproot the
ignorance from its core-real roots by
experiencing the naked turth of the
nature becuase you have still not
completely lost this game as such
and so say goodbye, say goodbye.

To born and die is a law go see, this time
of leaving this body is elixir go feel,
just stay alert and meditate profoundily
and say goodbye, say goodbye.


just stay alert and research profoundily
and say goodbye, say goodbye.

Comments

Popular posts from this blog

Chikh tanhai mein Jaa kehti hai

Ghor Sach ka Ehsaas Chikh tanhai mein Jaa kehti hai, Guftagu dil mein lagi rehti hai. Zakhm houta hai be-asar lekin, Chout koune mein dabi rehti hai. Roz kiske hai kar rahe dhoukha, Aakh yeh soch mein jagi rehti hai. Khush hai woh aaj uske cehre pe, Dekhiye kab talak hasi rehti hai. Jindagi maut se milne ke liye, Haal ho khuch bhi saji rehti hai.

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.