Skip to main content

Jindagi main tujhe sochta reh gaya


What is the real purpose of life, indeed?

Jindagi main tujhe sochta reh gaya, (1)
Tere anjaam ko khojata reh gaya. (2)

Log aate hai aakar chale jaate hai,
Apne sapnoh ki duniya bune jaate hai,
Aur achanak yeh bunna dhara reh gaya,
Yeh joh socha, toh phir, sochta reh gaya. [1,2]

Har kahin aadmi ek sa ji raha,
Umr paisoh ke pyalo mein ja pi raha,
Apni karni ka phal unchua reh gaya,
Yeh joh socha, toh phir, sochta reh gaya. [1,2]

Umr badhti hi rehti hai ghatti nahi,
Pehle bachpan, phir yowan, bhudapa bani,
Aakhari saas par main kaha reh gaya,
Yeh joh socha, toh phir, sochta reh gaya. [1,2]

Comments

Popular posts from this blog

Chub raha raaz, koi dard

Commander in Chief (Mukhiya of the house) on Losing a Battle Chub raha raaz, koi dard, mere dil mein tha, Likh diya aaj, sabhi khuch, jo mere dil mein tha. Humne awaaz, lagane ki, bahaut koshsish ki, Fasala khud se, qayamat ka, mere dil mein tha. Ladhte ladhte, thaka khoon, sukhe zakhm mere, Hosala kitna, ladhaku sa, mere dil mein tha. Taras rahi thi, nighaein, koi rasta toh mile, Mujhe khabhar na-thi, naksha toh, mere dil mein tha.

Kabhi aake mil, tujhe dekh lu

Intense Love  Kabhi aake mil, tujhe dekh lu, Tu najane kabse, zehen mein hai. Tujhe yaad kar-ta hu bhool ke, Mera ghar yaha, tere ghar mein hai. Mujhe kya khabar, ke main hu kaha, Tera naam bas, safar mein hai. Teri aarzoo, Teri aahatein,  Tera dabdabaa, mere dil mein hai.